Header Ads

Sahir Ludhianvi - Khudaariyon ke khuun ko arzaan na kar sake

Khudaariyon ke khuun ko arzaan na kar sake

Khudaariyon ke khuun ko arzaan na kar sake,
Hum apne jauhron ko numaayaan na kar sake,

Ho kr kharaab-e-mai tere gham to bhula diye,
Lekin gham-e-hayaat ka darmaan na kar sake,

Tuuta tilissm -e- ehd-e-mohabbat kuch is tarah,
Phir aarzuu ki shamaa firozaan na kar sake,

Har shai qareeb aa ke kashish apni kho gayi,
Woh bhi ilaaj -e- shauq-e-gurezaan na kar sake,

Kis darjaa dil-shikan they mohabbat ke haadse,
Hum zindagi mei phir koi armaan na kar sake,

Maayuusiyon ne cheen liye dil ke valvale,
Woh bhi nashaat-e-ruuh ka samaan na kar sake...


खुद्दारियों के खून को अज़ान ना कर सके,
हम अपने जौहरों को नुमायां ना कर सके,

हो कर खराब-ए-मै तेरे ग़म तो भुला दिए,
लेकिन ग़म-ए-हयात का दरमाँ ना कर सके,

टूटा तिलिस्म-ए- एहद-ए-मोहब्बत कुछ इस तरह,
फिर आरज़ूअ की शमा फ़िरोज़ा ना कर सके,

हर शै क़रीब आ के कशिश अपनी खो गए,
वो भी इलाज -ए- शौक़-ए-गुरेजां ना कर सके,

किस दर्जा दिल-शिकन थे मोहब्बत के हादसे,
हम ज़िन्दगी में फिर कोई अरमां ना कर सके,

मायूसियों ने छीन लिए दिल के वलवले,
वो भी नाशात-ए-रूह का सामान ना कर सके...

No comments:

Powered by Blogger.