Rahat indori - Chehron ke liye aayine kurbaan
Chehron ke liye aayine kurbaan kiye hain,
Iss shauk mein apne bade nuksaan kiye hain,
Mehfil mein mujhe gaaliyan dekar hai bahut khush,
Jis shakhs par maine bade ehsaan kiye hain.
चेहरों के लिए आईने कुर्बान किये हैं,
इस शौक में अपने बड़े नुकसान किये हैं,
महफ़िल में मुझे गालियाँ देकर है बहुत खुश,
जिस शख्स पर मैंने बड़े एहसान किये है।
Ajnabi khwahishein seene mein daba bhi na sakun,
Aise ziddi hain parinde ke uda bhi na sakun,
Foonk dalunga kisi roj main dil ki duniya,
Yeh tera khat to nahi ke jala bhi na sakun.
अजनबी ख़्वाहिशें सीने में दबा भी न सकूँ,
ऐसे ज़िद्दी हैं परिंदे कि उड़ा भी न सकूँ,
फूँक डालूँगा किसी रोज़ मैं दिल की दुनिया,
ये तेरा ख़त तो नहीं है कि जला भी न सकूँ।
Roj taaron ki numaaish mein khalal padta hai,
Chand pagal hai andhere mein nikal padta hai,
Roj patthar ki himayat mein ghazal likhte hain,
Roj sheeshon se koi kaam nikal padta hai.
रोज़ तारों को नुमाइश में ख़लल पड़ता है,
चाँद पागल है अँधेरे में निकल पड़ता है,
रोज़ पत्थर की हिमायत में ग़ज़ल लिखते हैं,
रोज़ शीशों से कोई काम निकल पड़ता है।
No comments: