Life Shayari - Pankho ko khol ke zamana sirf udaan dekhta hai
Pankho ko khol ke zamana sirf udaan dekhta hai,
Yun zameen par baithkar aasmaan kya dekhta hai.
पंखों को खोल कि ज़माना सिर्फ उड़ान देखता है,
यूँ जमीन पर बैठकर, आसमान क्या देखता है।
Khud ko yun khokar zindgi ko mayus na kar,
Manzilein charo taraf hain rasto ki talash kar.
खुद को यूँ खोकर जिन्दगी को मायूस न कर,
मंजिलें चारो तरफ हैं रास्तों की तलाश कर।
Na humsafar na kisi humnashin se niklega,
Humare paanv ka kaanta humin se niklega.
न हमसफ़र न किसी हमनशीं से निकलेगा,
हमारे पाँव का काँटा हमीं से निकलेगा।
Manzilein mile na mile toh mukaddar ki baat hai,
Hum koshish bhi na karein yeh toh galat baat hai.
मंजिल मिले न मिले, ये तो मुकद्दर की बात है
हम कोशिश ही न करे ये तो गलत बात है।
Apne kirdaar ko mausam se bachaye rakhna,
Laut kar phoolo mein wapas nahi aati khushbu.
अपने किरदार को मौसम से बचाए रखना,
लौट कर फूलों में वापस नहीं आती खुशबू।
No comments: