Sad Shayari - Ho gaya dher wahin aah bhi nikli na koi
Ho gaya dher wahin aah bhi nikli na koi,
Jaane kya baat kahi shama ne parwane se.
हो गया ढेर वहीं आह भी निकली न कोई,
जाने क्या बात कहीं शमाँ ने परवाने से।
Kitne parwaane jale raaz yeh paane ke liye,
Shama jalne ke liye hai ya jalaane ke liye.
कितने परवाने जले राज़ ये पाने के लिए,
शमां जलने के लिए हैं या जलाने के लिए।
Rukh-e-roshan ke aage shama rakhkar wo yeh kahte hain,
Udhar jata hai dekhein ya idhar aata hai parwana.
रूख-ए-रौशन के आगे शमाँ रखकर वो ये कहते है,
उधर जाता है देखें या इधर आता है परवाना।
Hai shiddat-e-khulus bhi ik jurm-e-aashiqi,
Parwana jal ke shama ko badnaam kar gaya.
है शिद्दत-ए-खुलूस भी इक जुर्मे-आशिकी,
परवाना जल के शमाँ को बदनाम कर गया।
No comments: