Sad Shayari - Falak ke taaron se kya dur hogi zulmat-e-shab
Falak ke taaron se kya dur hogi zulmat-e-shab,
Jab apne ghar ke chiraagon se roshni na mili.
फलक के तारों से क्या दूर होगी जुल्मत-ए-शब,
जब अपने घर के चरागों से रोशनी न मिली।
Jiski kafas mein aankh khuli ho meri tarah,
Uske liye chaman ki khijaan kya bahaar kya.
जिसकी कफस में आँख खुली हो मेरी तरह,
उसके लिये चमन की खिजाँ क्या बहार क्या।
Woh kaale kos sahar ki khushi mein kaate hain,
Sahar ka rang magar raat se bhi badtar tha.
वह काले कोस सहर की खुशी में काटे हैं,
सहर का रंग मगर रात से भी बदतर था।
Kaante kisi ke haq mein kisi ko gulo-samar,
Kya khoob ehtmaam-e-gulistaan hai aajkal.
कांटे किसी के हक में किसी को गुलो-समर,
क्या खूब एहतमाम-ए-गुलिस्ताँ है आजकल।
No comments: