Header Ads

Sad Shayari - Aata nahi hai jeena

Aata nahi hai jeena

Aata nahi hai jeena us nadan ke bagair,
Kash uss shakhs ne marna bhi sikhaya hota.

आता नहीं है जीना उस नादान के बगैर,
काश उस शख्स ने मरना भी सिखाया होता।



Meri tanhayian karti hain jinhein yaad sadaa,
Unn ko bhi meri jarurat ho jaroori toh nahi.

​मेरी तन्हाइयां करती हैं ​जिन्हें याद सदा,
उन को भी मेरी ज़रुरत हो ज़रूरी तो नहीं।



Kitni fikr hai kudrat ko meri tanhayi ki,
Jagte rahte hain raat bhar sitare mere liye.

कितनी फ़िक्र है कुदरत को मेरी तन्हाई की,
जागते रहते हैं रात भर सितारे मेरे लिए।



Tera pehlu tere dil ki tarah aabad rahe,
Tujh pe gujre na qayamat shab-e-tanhayi ki.

तेरा पहलू तेरे दिल की तरह आबाद रहे,
तुझपे गुज़रे न क़यामत शब-ए-तन्हाई की।



Woh bhi bahut akela hai shayad meri tarah,
Usko bhi koi chahne wala nahi mila.

वो भी बहुत अकेला है शायद मेरी तरह,
उसको भी कोई चाहने वाला नहीं मिला।

No comments:

Powered by Blogger.